ZNMD turns 11: Take a look at heartwarming poems from film

Mumbai (Maharashtra) [India], July 15 (ANI): Zoya Akhtar's 'Zindagi Na Milegi Dobara' hit the theatres 11 years ago on this day and the film continues to be one of the most loved films even today. It made everyone fantasize and plan a road trip to Spain but that's not it! The film's dialogues and 'shayaris' touched millions of hearts. So, on the occasion of the film completing 11 years, let's turn back pages and reminisce on the beautiful poems penned by Javed Akhtar.

1. 'Dil aakhir kyun rota hai' - Farhan Akhtar's (Imran)

"Jab jab dard ka baadal chaaya, Jab gham ka saaya lehraya,

Jab aasoon palkon tak aaya, Jab yeh tanha dil ghabraaya,

Humne dil ko yeh samjhaaya,

Dil aakhir tu kyun rota hai, Duniya mein yunhi hota hai

Yeh joh gehre sannate hai, Waqt ne sabko hi baante hai

Thoda gham hai sabka qissa, Thodi dhoop hai sabka hissa

Aankh teri bekaar hi namm hai, Har pal ek naya mausam hai

Kyun tu aise pal khota hai, Dil aakhir tu kyun rota hai."

2. 'Pighne neelam sa' - Farhan Akhtar's (Imran)

"Pighle neelam sa behta hua yeh samaan,

Neeli neeli si khamoshiyan, Na kahin hai zameen na kahin aasmaan

Sarsaraati huyi tehniyan pattiyan keh rahi hai ki bas ek tum ho yahan

Sirf main hoon meri saansein hai aur meri dhadkane, Aisi gehraiyan, Aisi tanhaiyan,

Aur main sirf main, apne hone pe mujhko yakeen aa gaya".

3. 'Dilon mein apni betaabiyan' - Farhan Akhtar (Imran)

"Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum,

Nazar mein khwabon ki bijliyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum,

Hawa ke jhokon ke jaise aazad rehna seekho, Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho,

Har ek lamhe se tum milo khole apni baahen, Har ek pal ek naya samha dekhe yeh nigaahen,

Jo apni aankhon mein hairaaniyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum,

Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum."

4. 'Ik baat hothon tak hay jo aayi' - Farhan Akhtar (Imran)

"Ik baat honthon tak hai jo aayi nahi, bas aankhon se hai jhaankti

Tumse kabhi, mujhse kabhi kuch lafz hai woh maangti

Jinko pehan ke honthon tak aa jaye woh,

Awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh

Lekin joh yeh ek baat hai, Ehsaas hi ehsaas hai

Khushboo si hai jaise hawa mein tairti, Khushboo jo be-awaaz hai

Jiska pata tumko bhi hai, Jiski khabar mujhko bhi hai

Duniya se bhi chupta nahi, Yeh jaane kaisa raaz hai." (ANI)

Source: Entertaiment
Jitendra7935
Jitendra7935  

Related Articles

Next Story